Roman script

chhule sitaro ki nok nok 
haatho ko khinch ke hum 
chahe to chand rakh le hum tiffin me 
man me jo soch le hum
chhule sitaro ki nok nok 
haatho ko khinch ke hum 
chahe to chand rakh le hum tiffin me 
man me jo soch le hum
aaya hai dur tak desh apna
jayenge dur tak hum
dekhegi duniya jalwe hamare 
yun jagmagayenge hum
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai 
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai
suraj apni mutthi me hai kulbula raha 
naya savera ris ris ke baahar hai aa raha 
talwo se kahti hai manjil mujhe utha lo 
waqt tumhara hai kismat ko gale laga lo 
abhi to sabko dhun par apni dekho nachayenge hum 
dekhegi duniya jalwe hamare 
yun jagmagayenge hum
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai 
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai
agar tum hi muskaao to muskaan nahi hai
sabko pankh na mil paye to udaan nahi hai 
bas mere aangan aaye aisi dhoop na chahiye
bas meri chhatri par gaaye aisi barish na chahiye 
jispar sabke rang ho 
vo tasvir banaynge hum 
dekhegi duniya jalwe hamare 
yun jagmagayenge hum
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai 
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai
beete kal se hum ko sikh jana hai 
naye kal ki kal kal se pal pal sajana hai

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Sneha Suresh, Shreya Ghoshal