Roman script

bavara mann dekhne chala ek sapna 

bavara mann dekhne chala ek sapna 

bavare se mann ki dekho, bavari hain bate

bavare se mann ki dekho, bavari hain bate

bavari si dhadkane hain, bavari hain sansein

bavari si karvaton se nindiya too bhage

bavare se nain chahe, bavare jharokho se

bavare najaro ko takna

bavara mann dekhne chala ek sapna

bavare se iss jahan me, banvara ek sath ho

is sayani bhid me, bas hatho me tera hath ho

bavari si dhun ho koyi, bavara ek rag ho 

o bavari si dhun ho koyi, bavara ek rag ho 

bavare se pair chahe, banvar tarano ke

bavare se bol pe thirkna

bavara mann dekhne chala ek sapna

bavara sa ho andhera, bavari khamoshiya 

bavara sa ho andhera, bavari khamoshiya 

thartharati lau ho maddham, bavari madhoshiya

bavara ek ghungta chahe, haule haule bin bataye 

bavara ek ghungta chahe, haule haule bin bataye 

bavare se mukhde se sarakna

bavara mann dekhne chala ek sapna 

bavara mann dekhne chala ek sapna 

bavara mann dekhne chala ek sapna 

bavara mann dekhne chala ek sapna

Explore this song