Roman script

basti basti nagri nagri kah do gav gav me

kal tak the jo sar pe chade wo aaj pade hai pav me

re basti basti nagri nagri kah do gav gav me

kal tak the jo sar pe chade wo aaj pade hai pav me

itni chhoti si galti ki itni badi saza na do

bhul ki mafi mang raha hu ab to mujhko maf karo

bhul ki mafi mang raha hu ab to mujhko maf karo

abhi to tumko pata chalega kya hai aate dal ka bhav

apni karni ka phal bhogo mafi wafi bhul jao

apni karni ka phal bhogo mafi wafi bhul jao

are waqt badalte der lage na

waqt badalte der lage na us malik se kuch to daro 

husn pe itna na itrao kal ki bhi kuch fikar karo

husn me kitni takat hai tum bhul gaye nadani me 

sharam hai kuch to dub maro tum ab chulu bhar pani me 

sharam hai kuch to dub maro tum ab chulu bhar pani me 

bahut niradar hua hamara raha nahi dil par kabu

todke bandhan duniya ke ab hone chale hai hum sadhu 

ab hone chale hai hum sadhu 

barso lag jayenge bhaiya ugne me asali dadhi 

isiliye jhole me rakh kar laya hu nakli dadhi

yadi kuwari kanya koi sankat me fas jayegi

tod samaadhi madad karunga jab bhi wo chillayegi

alvida alvida alvida alvida alvida

alvida ae duniya walo kaha suna bisra dena

mere hriday ki dukhad katha tum is yantar se sun lena

jai shankar 

yantar band kiya to kya

yantar band kiya to kya hum duni yahi ramayenge

bachhe bachhe ko bachha ab sari katha sunayenge

jai ho jai ho swaami ji ki

bhed jagat ka chhupa hai swami aaj tumhari aankho me

unpar aancha na aaye jinki laaz tumhare hatho me

phenk do jhola noch lo dadhi dadhi 

phenk do jhola noch lo dadhi 

apne dil ko saf karo 

humne apni galti mani ab to humko maf karo

dost ka itna kare niradar apni nahi ye sewa hai

jo bhi cheli sharan me aaye usko milti mewa hai

basti basti nagri nagri kah do gav gav me

basti basti nagri nagri kah do gav gav me

kal tak the jo bigde bigde aaj hai apni baho me

kal tak the jo bigde bigde aaj hai apni baho me

aaj hai apni baho me

Explore this song