Roman script

bas ek soch se ban jaaye poori kahani

duniya chahe jo bole hum ko to hai ye sunaani

haan bas ek soch se ban jaaye poori kahani

duniya chaahe jo bole hum ko to hai ye sunaani

kya galat hai kya sahi

humne ye socha na kabhi sapne hon pure

reh jaaye na koi kami

jo bus ek soch se ban jaaye poori kahani

khwaab hain to rangeen ye jahaan zindagi hansti hai

aaj hai to kal honge kahan apni khushi sasti hai

hum bhi kabhi mashahur ho thode se magrur ho

paane ko jaan tarasti hai sapne ho pure

reh jaaye na koi kami

jo bus ek soch se ban jaaye poori kahani

socha jo wo hi to pana hai kuch to kar ke dikhana hai

kya hain ham, kahan apne kadam kahan apna thikaana hai

ab talak jo na dekhi ho apne man ki hai manzil wo

hum ko uss paar jaana hai sapne ho poore

reh jaaye na koi kami

jo bus ek soch se ban jaaye poori kahani

haan bus ek soch se ban jaaye puri kahani

duniya chaahe jo bole hum ko to hai ye sunaani

kya galat hai kya sahi

humne ye socha na kabhi sapne hon poore

reh jaaye na koi kami

jo bas ek soch se ban jaaye poori kahani

Explore this song