Roman script

barakhaa ki raat aai manva

barakhaa ki raat

kar le man ki baat

garajat sankat ka badarava

garajat sankat ka badarava

duhkh ki padat phuhar

manvaa kar le man ki baat 

barakhaa ki raat

kaari rain naagan atka ke

jiyara dekh daraye

megha garaje jiyara laraje

megha garaje jiyara laraje

kholo man ka dwaar

manva kar le man ki baat 

barakhaa ki raat

nainan se naina muskaye

nainan se naina muskaye

chhaye jagat ujiyara

chhaye jagat ujiyara

man me jhar jhar amrit barase

man me jhar jhar amrit barase

jaisa saavan ki phuhar

manva kar le man ki baat 

barakhaa ki raat

aao barakha rut me bole

vyaakul man ki bain

aao barakha rut me bole

vyaakul man ki bain

chhod jagat ki ulti reeti

chhod jagat ki ulti reeti

jhuthaa hai sansaar

manva kar le ma ka baat

barakhaa ki raat aai manva

kar le man ki baat

barakhaa ki raat

Explore this song