Roman script

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

dum hai to baahe chhudake

dum hai to baahe chhudake 

mujhko thukara ke ja ja ja 

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

pahali nazar me dil me samaya

nindiya udai mera chain churaya

pahali nazar me dil me samaya

nindiya udai mera chain churaya

pyaar to mujhko tune sikhya 

dil ko ye prem ka rog lagaya

mujhe prem ka rog laga ke 

mujhe prem ka rog laga ke

dil tadpa ke na jaa jaa jaa 

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

mera ye diwanapan kaisa rang laya

khud chal ke tu mere ghar tak aaya

mera ye diwanapan kaisa rang laya

khud chal ke tu mere ghar tak aaya

koi kabhi pyaar karega na itna

main tujhe pyaar diya hai re jitna

janjir ye tod sake to janjir ye tod sake to 

daman ye bacha ke jaa jaa jaa

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

o tune jo suni hai wo adhuri hai kahani

meri majburi tune kabhi kaha jaani

o tune jo suni hai wo adhuri hai kahani

meri majburi tune kabhi kaha jaani

kaise kab kaha bani raat ki raani

galiyo me bhatki thi meri jawani

kiya pyaar to julam kya kiya

kiya pyaar to julam kya kiya

itna to bata ke jaa jaa jaa 

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

dum hai to baahe chhudake dum hai to baahe chhudake

mujhko thukara ke jao jao jao 

band kamare me hoga faisla pyaar ka

pyaar se hum jeetenge dil dildaar ka

Explore this song