Roman script

mohabbat ka yahi haasil

ke yaad hi bani kaatil

khayalo par tum chhaye

bahut yaad aaye, bahut yaad aaye

tumhari gahri palke

wo unme pyari aankhe

wo unme pyar ke saaye

bahut yaad aaye, bahut yaad aaye

shikayat hai baharo ko

baharo ko, nazaro ko

bulate hai ye sab tumko

meri khamosh shamo ko

meri bechain aankho ko

jo har pal dhundhe hai tumko

jo har pal dhundhe hai tumko

wo mahki mahki saanse

wo chahki chahki baate

khayalo par tum chhaye

bahut yaad aaye, bahut yaad aaye

likhi hai jane kya kismat

magar itni si hai hasrat

ho shamil zindagi me tum

subah suraj ugega jab

ya raat ko chand nikle tab

meri baaho me bas ho tum

meri baaho me bas ho tum

wo roshan chand sa chehra

siyah julfo ka wo pahra

khayalo par tum chhaye

bahut yaad aaye, bahut yaad aaye

mohabbat ka yahi haasil

ke yaad hi bani kaatil

khayalo par tum chhaye

bahut yaad aaye

tumhari gahri palke

wo unme pyari aankhe

wo unme pyar ke saaye

bahut yaad aaye, bahut yaad aaye

Explore this song