Roman script

bahke huye tan bahke huye man bahke kadam 
barbaadi ki raaho pe badhte kadam 
bahake huye tan bahke huye man bahke kadam 
barbaadi ki raaho pe badhte kadam
aao badh ke rok le hum 
in naadaan deewano ko 
kahin bhatak na jaye in masumo ke bahke kadam 
bahke kadam bahke kadam bahke kadam 
dekh javan jismo ki numais  galiyo me bazaro me  
nangi filme nange poster lage huye diwaro pe 
khuli sadko pe pyar ke drame shor machate gande gaane 
baant rahe hai tv vidio barbaadi ka jahar hawa me 
yovan ki dahlij pe bachpan aake khada jab hota hai 
dekh jamane ka nangapan hosh wo apne khota hai 
hosh me lana hoga hmako in behosh diwano ko 
kahin fisal na jaye in masumo ke bahke kadam 
bahke kadam bahke kadam bahke kadam 
dekhe hai hum ne jo sapne sapne hi na rah jaye 
baali umar ki nadani se jivan hi na mit jaye 
aisi rahe banaye milke jo manjil taak pahunchaye 
aise phul khilaye chaman me sara vatan mahak jaye
koi bhatak na paye jaag me aisi rahe banayenge 
is badrang jamane ko hum naye rango se sajayenge 
jivan safal karenge aapna sabako safal banayenge 
nahi bahatkne denge ab hum masumo ke bahke kadam
bahke kadam bahke kadam bahke kadam 
bahke huye tan bahke huye man bahke kadam 
barbaadi ki raaho pe badhte kadam
aao badh ke rok le hum 
in nadan deewano ko 
kahin bhatak na jaye in masumo ke bahke kadam 
bahke kadam bahke kadam bahke kadam

Song details