Roman script

aap bahut der se aaye raja bahadur

abb main dukan band kar chuki hun

hum kisi dukan par nahi aaye dulhaari

tumhare ghar aaye hai

humein baithane ke liye nahi puchhogi

ji aayiye tashrif rakhiye

tum bhi baitho hamare pas

jis dulhari ko aap bula rahe hai

woh to kab ki mar chuki hai raaja bahadur

aur jo aapke samane hai woh to ik chita hai

jo ab tak jal rahi hai, sulag rahi hai

kehate hai chita ko chhedana paap hota hai

khair aap yeh batayiye kya sunenge

aaj tum jo sunaogi hum sunenge

toh phir aap biti suniye, meri kahaani, meri jabaani

badnaam ho gaya dil ha ha ha ha

badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat

hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat

hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat

badnaam ho gaya dil

humse wafa jo karte, hum kyun yaha pe aate 

humse wafa jo karte, hum kyun yaha pe aate 

hum bhi the phul ghar ke ghar mein hi muskurate

payi hai kaisi manjil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat

hamne sajayi mehfil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil

hasti mitaayi humne, lekin na aap mane 

hasti mitaayi humne, lekin na aap mane 

aurat ka pyaar kya hai, sarkaar yeh na jane

saara badan hai bismil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat

hamne sajaayi mehfil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil

hans hanske jal rahe hain, hum apni chandani mein

humne sukun na paaya, do din ki jindagi mein

barbadiya hai shamil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil, bas aapki badaulat

hamne sajayi mehfil, bas aapki badaulat

badnam ho gaya dil

Explore this song