Roman script

apne hisse ki saari ladaaiyaan

ho apne hisse ki saari ladaaiyaan

ho apne hisse ki saari ladaaiyaan

dheere dheere ladte chalo

badhte chalo, badhte chalo

badhte chalo, badhte chalo, badhte chalo

chalna shuru kiya to aa jaayegi manjil

dheere dheere himmat ye dil kar lega haasil

uthna girna, girna uthna hoga baarambaar

aise hi to kadam sikhte nayi nayi raftaar

aanewaali har mushkil ka saamna

ab aanewaali har mushkil ka saamna

aanewaali har mushkil ka saamna

dheere dheere karte chalo

badhte chalo, badhte chalo

badhte chalo, badhte chalo, badhte chalo

jiske saath chalta hai har dum koi pyaar

lehre uska haath pakad karwaati saagar paar

jiske saath saath chalta hai har dum koi pyaar

lehre uska haath pakad karwaati saagar paar

sab kuchh mumkin hai jab tak hai dil mein koi aas

lamha lamha kat jaayega ho kai banvaas

jindagi ki ye saari padhaaiyaan

jindagi ki ye saari padhaaiyaan

jindagi ki ye saari padhaaiyaan

dhhere dheere padhte chalo

badhte chalo, badhte chalo

badhte chalo, badhte chalo, badhte chalo

Explore this song