Roman script

bade miya diwane aise naa bano

hasina kya chaahe hamse suno

o bade miya diwaane aise naa bano

hasina kya chaahe, yahi to maalum nahi hai, hamse suno

sabse pahle suno miya karke warjish bano jawaan

sabse pahle suno miya karke warjish bano jawaan

chehra polish kiya karo, thodi maalish kiya karo

style se uthe qadam, sina zyaada to pet kam

ai kibla ujle baalo ko rang daalo ban jaao gulfaam

bade miya diwane aise naa bano

hasina kya chaahe hamse suno

sikho kartab naye-naye fashion ke dhang naye-naye

sikho kartab naye-naye fashion ke dhang naye-naye

dhila-dhaala libaas kyu, resham pahno kapaas kyu

fan ye jaadugari ka hai, armaan tumko pari ka hai

to kibla maaro mantar dainty ban kar niklo waqt-e-shaam

bade miya diwane aise naa bano

hasina kya chaahe hamse suno

tanhaai me agar kahi aa jaaye wo nazar kahi

tanhaai me agar kahi aa jaaye wo nazar kahi

kahiye haatho me haath daal ae gul-chehra pari-jamaal

muddat se dil udaas hai tere hontho ki pyaas hai

ae dilbar mere lab par kab chhalkega tere lab ka jaam

bade miya diwaane aise naa bano

hasina kya chaahe hamse suno

o bade miya diwaane aise naa bano

hasina kya chaahe, yahi to maalum nahi hai, hamse suno

is tanhai me ai hasin itni duri bhali nahi

aaya mausam bahaar ka rakh le dil bekaraar ka

mere haatho tho tho me haath daal ae gul-chehra pari-jamaal

muddat se dil udaas da da daas hai tere hontho ki pyaas hai

ae dilbar mere lab par kab chhalkega tere lab ka jaa jaa jaam

Explore this song