Roman script

bachapn hua khatam hai

lagne lagi sharam hai

lo aa gayi jawani

ab pyar ka mausam hai

bachapn hua khatam

kya khub ye umar hai

iska ajab asar hai

jhukne lagi hai palke

tirchhi huyi najar hai

o sach me ye kya julm hai

ab khul gaya bhram

ye baat mat batana

tumko meri kasam

bachapn hua khatam

kaisi ghadi ye aayi

aane lagi angdayi

mujhko meri umariya

kis or khinch layi

o aankho me aaj dum hai

kya masti ka aalam hai

badli hai zindgani

ab jo bhi ho so kam hai

bachapn hua khatam

bachapn hua khatam hai

lagne lagi sharam hai

lo aa gayi jawani

ab pyar ka mausam hai

bachapn hua khatam

Explore this song