Roman script

naaznino ae aur mahjabino se

bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

dilwalo suno ae dilwalo

munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

inse wafa ki aas lagakar ek himakat hogi

ye hai jafa ke paikar inko kaise mohabbat hogi

aashiq ki aashao ka ye khun peeya karte hai

ummedo ke gulshan ko pamal kiya karte hai

ye wafadar nahi, ye taradar nahi

jar hai inki ada, inka pesha hai jafa

dil ko ye tod de, aaina fod de

inka dil tang ae tang, kya sang hai

bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

tum kya pyar karoge

tumne pyar ko khel hai samjha

vada karna, dhokha dena

kaam ye nahi accha

tum ho kaatil armano ka

khun kiya karte ho

phir bhi hum logo ko tum

iljam diya karte ho

tumne samjha hi nahi

kisko kahte hai wafa

tum wo insan ho jo

milke dete ho daga

tum to ho bewafa

to wafa kya karo

sun sako to zara baat meri suno

munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

husn ki devi kahiye inko

prem pujaran kahiye

pani na maange inka kaata

aisi nagan kahiye

inka har andaz nirala

baat nirali inki

gora chehra rup salona

fidrat kaali inki

inka imaa hai hawas

ye sitam karte hai bas

lutkar dil ka nagar

pher lete hai najar

inki ye dildari, zehar se bhi hai bhari

ye sitamgar hai, do dhari talvar hai

bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

suno ji, bachke rahna hasino se

hume tumko samajh liya hai

tum insaan ho kaise

jhalak dikhakar chhup jata hai

raat ne jugnu jaise

tum kya naaz uthaoge

kya karoge humse ulfat 

aankho me hai chamak hawas ki

dil me nahi hai murawat

pyar ki aad me tum

jabr karte hi rahe

ek hum hai ke sada

sabr karte hi rahe

aashiqi me sada, julm humne saha

badh gayi baat to humne tabish kaha

munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

naaznino ae aur mahjabino se

bachke rahna hasino se

dekho ji, munh na lagna hasino ke

dekho ji, munh na lagna hasino ke

suno ji, bachke rahna hasino se

dekho ji, munh na lagna hasino ke

suno ji, bachke rahna hasino se

dekho ji, munh na lagna hasino ke

Explore this song