Roman script

bachho tum taqadir ho kal ke hindustaan ki

baapu ke vardaan ki neharu ke armaan ki

bachho tum taqadir ho kal ke hindustaan ki

baapu ke vardaan ki neharu ke armaan ki

achcho tum taqadir ho

aaj ke tute khandaharo par tum kal kaa desh basaoge

jo ham logo se na huaa vo tum kar ke dikhlaoge

tum nanhi buniyaade ho, tum nanhi buniyaade ho

duniyaa ke naye vidhaan ki

bachho tum taqadir ho

din-dharam ke naam pe koi bij phut kaa boye naa

jo sadiyo ke baad mili hai vo aazadi khoye naa

har mazahab se unchi hai, har mazahab se unchi hai

kimat insaani jaan ki

bachho tum taqadir ho

phir koi jaichand na ubhare phir koi jaafar na uthe

gairo kaa dil khush karne ko apno par khazar na uthe

dhan-daulat ke laalach me, dhan-daulat ke laalach me 

tauhin na ho imaan ki

bachho tum taqadir ho

naari ko is desh ne devi kah kar daasi jana hai

jisko kuchh adhikaar na ho vo ghar ki raani mana hai

tum aisa aadar mat lena, tum aisa aadar mat lena

aad ho jo apmaan ki

bachho tum taqadir ho

rah na sake ab is duniyaa me yug saramayadari kaa

tumako jhandaa laharana hai mehnat ki sardaari ka

tum chaaho to, tum chaaho to

badal ke rakh do kismat har insaan ki

bachho tum taqadir ho kal ke hindustaan ki

baapu ke vardaan ki neharu ke armaan ki

bachho tum taqadir ho

Explore this song