Roman script

bat hai ye to sadiyo purani 

sach hai ye na samjho kahani

rahta sada hai naam jagat me 

jisne boli prem ki vani

bat hai ye to sadiyo purani 

sach hai ye na samjho kahani

dukh na kisi ko tum pahunchana 

prem se sabko apna banana 

dukh na kisi ko tum pahunchana 

prem se sabko apna banana 

rishte nate rakhna sanjoke 

dekho inko tod na jana

man gaya jo hai wo gyani 

sach hai ye na samjho kahani

bat hai ye to sadiyo purani 

sach hai ye na samjho kahani

dharm adharmi samajh na paya 

pap punya se ja takraya

jo hota tha whi huya hai

dharm vijeta sada raha hai

dharm adharmi samajh na paya 

pap punya se ja takraya

jo hota tha wohi huya hai 

dharm vijeta sada raha hai

kiski chalti hai manmani 

sach hai ye na samjho kahani

rahta sada hai naam jagat me 

jisne boli prem ki vani

Explore this song