Roman script

ghar mein bajati dhun ko sunkar 
chham se kudi baarish aayi
aur hai kohare ki wo chaadar 
khidakiyon pe khadi muskaayi
ghar mein bajati dhun ko sunkar 
chham se kudi baarish aayi
hai hawa ke sang udti 
kuchh phuhaare titaliyon si
aake baithi mere dar pe 
jaise wo kuchh kehne aayi
ghar mein bajati dhun ko sunkar 
chham se kudi baarish aayi
aur hai kohare ki wo chaadar 
khidakiyon pe khadi muskaayi
sard raaton mein thithak kar baithe baahar raaston par
sard raaton mein thithak kar baithe baahar raaston par
puchhti hai aate jaate logo se ye kuchh ghabraaye
baadlo mein kho chuki kuchh gaal par rakh kar hatheli
apni hi bundon ki ladiyon mein khadi hai wo akeli
bheega tan hai, nam hai aankhein 
phir bhi hasati khilkhilaa ke
mere ghar mein haste gaate jaise hai wo rehane aaya
hai hawa ke sang udti 
kuchh phuhaare titaliyon si
aake baithi mere dar pe 
jaise wo kuchh kehne aayi
ghar mein bajati dhun ko sunkar 
chham se kudi baarish aayi
yaadon ki lekar khajaane, aayi sabko ye manane
pochti hai gile haatho se meri bhigi si saani
yaadon ki lekar khajaane, aayi sabko ye manane
pochti hai gile haatho se meri bhigi si saani
sabko bhulaake na jaane ye jaaye kahaan
khojti hai sabki aankhein, kaun aaya tha yahaan pe
sabka man wo bharne aayi
aur hai kohare ki wo chaadar 
khidakiyon pe khadi muskaayi
aake baithi mere dar pe 
jaise wo kuchh kehne aayi

Song details

Song video

Watch on YouTube

lyricist: Vibha Singh, Sanjeev Tiwari, Gautam Nag, Arindam Nandy, Mrityunjay Kumar Singh