Roman script

baad muddat ke hum-tum mile, mud ke dekha toh hai faasale

chalte-chalte thokar lagi

yaade waade aawaaz dete na kaash

yaade waade aawaaz dete na kaash, kaash kaash

baad muddat ke hum-tum mile, mud ke dekha toh hai faasale

chalte-chalte thokar lagi

yaade waade aawaaz dete na kaash

phul ban kar jo chubhate rahe aise kaanto ko kya naam de

gair hote toh  hum sochate, kaise apno ko iljaam de

shikwa hamse hoga nahi, bhuli bisri raaho me milte na kaash

pyaar hi pyaar tha har taraf, kal the logo ki aankho ka noor

aaj koyi nahi dekhta kya huwa hamse aisa kusur

aisa hoga socha na tha, dhire-dhire hum bhi badal jaate kaash

saari duniya ko chamka diya, mere haste huye chaand ne

aaj hai khud wohi darbadar, hamko aaya tha jo baandhane

aansu aaye girane lage

sukhe patte yaado ke udd jaate kaash, kaash kaash 

baad muddat ke hum-tum mile, mud ke dekha toh hai faasale

chalte-chalte thokar lagi

yaade waade aawaaz dete na kaash

yaade waade aawaaz dete na kaash, kaash kaash

Explore this song