Roman script

babul ka ye ghar behna 

kuch din ka thikana hain 

babul ka ye ghar gauri

kuch din ka thikana hain 

banke dulhan ek din 

tujhe piya ghar jana hain

banke dulhan ek din 

tujhe piya ghar jana hain

babul ka ye ghar gauri

kuch din ka thikana hain 

babul teri bagiya ki

main to wo kali hu re

o babul teri bagiya ki

main to wo kali hu re

chhod teri bagiya mujhe

ghar piya ka sajana hain

kyu chhod teri bagiya mujhe

ghar piya ka sajana hain

beti ghar babul ke 

kisi aur ki amanat hain

beti ghar babul ke 

kisi aur ki amanat hain

dastur duniya ka

hum sab ko nibhana hain 

ha ye dastur duniya ka

hum sab ko nibhana hain 

babul ka ye ghar gauri

kuch din ka thikana hain 

maiya tere aanchal ki

main hu kaisi gudiya re

maiya tere aanchal ki

main hu kaisi gudiya re

tune mujhe janam diya

tera ghar kyu begana hain 

maiya tune mujhe janam diya

tera ghar kyu begana hain

maiya pe kya beet rahi

behna tu ye kya jane

maiya pe kya beet rahi

behna tu ye kya jane

kaleje ke tukde ko

ro ro ke bhulana hain 

kaleje ke tukde ko

ro ro ke bhulana hain 

babul ka ye ghar gauri

kuch din ka thikana hain 

bhaiya tere angana ki

main hu aisi chidiya re

ho bhaiya tere angana ki

main hu aisi chidiya re

raat bhar basera hain

subh ud jana hain 

raat bhar basera hain

subh ud jana hain 

yaade tere bachpan ki

hum sab ko rulayengi

yaade tere bachpan ki

hum sab ko rulayengi

phir bhi teri doli ko

kaandha to lagana hain 

behna teri doli ko

kaandha to lagana hain 

babul ka ye ghar gauri

kuch din ka thikana hain

Explore this song