Roman script

aye jindagi hui kaha bhul 
jiski hame mili ye saja
kaha se kaha layi tu hame
ham se hai kyo itni khafa aye jindagi
beete jo dil pe hamare 
ja kisko sunaye
chhalke jo aankho se dil ke 
aansu ye kisko dikhaye
kaun sune dil ka gam 
dhushman hai jag sara
aye jindagi hui kaha bhul 
jiski hame mili ye saja aye jindagi
jaye to ham kaha jaye 
sujhe na koi kinara
bhar gaya jiya jee ke 
chhod de pichha hamara
ho teri kasam duniya ham 
aayenge na dubaara
aye jindagi hui kaha bhul

Song details

actor: Zeenat Aman, Shreeram Lagoo