Roman script

allah ke rasul ka farman-e-aam hai 

is naam me namaaz ka pehla makam hai

aye momino suno yeh karamat namaaz ki

aye momino suno yeh karamat namaaz ki

jannat me le ke jayegi aadat namaaz ki 

jannat me le ke jayegi aadat namaaz ki 

jannat me le ke jayegi aadat namaaz ki aye momino suno 

yeh karamat namaaz ki aye momino suno

ek vakya sunata hu tumko namaaz ka 

ek mozila batata hu tumko namaaz ka

dilli me ek ladki badi honhaar thi sirat me badi nek ibabat gujar thi

ghar ghar namaaz ja ke vo baccho ko sikhati

tasvi kiya karti thi har waqt khuda ki kahti thi ki khidmat 

ka sabak deti hai namaaz shaitan ko insan bana leti hai namaaz

banda vahi hai jisko hai chahat namaaz ki

aye momino suno yeh karamat namaaz ki aye momino suno 

ek roj uske chehere ki jo khil gayi kali

mayke se doli uth gayi sasural aa gayi

shadi ki raat me bhi na bhuli namaaz 

ko shauhar se kaha waqt-e-fazar

aap bhi pado har haal me namaaz musalma pe farz hai 

jab tak ye zindagi hai khuda ka ye karz hai

bola ke is namaaz se kuch fayda 

nahi fir ghis rahi hai kis liye tu apni ye jawi

dil me nahi thi uske mohabbat namaaz ki

aye momino suno yeh karamat namaaz ki aye momino suno 

dil par ek or chot lagi jab pata chala 

khavind uska roj khela karta hai jua

boli jua haram hai ye khel hai bura 

par vo na mana gehne sabhi bechne laga

kuch din ke baad chand sa beta hua paida

bete ko maa ne paya to gam halka ho gya

gurbat me yu hi bit gaye pure teen saal

shohar ko tha biwi ka na bache ka kuch khayal

mushkil me kaam aati hai takat namaaz ki

aye momino suno ye karamat namaaz ki aye momino suno 

ek raat vo tandur jalaane ko jab uthi

tandur ke jalte hi ajaa fajal ki hui 

karke waju musalle pe jakar khadi hui

ruhani nemato se wo masrur ho gayi 

itne me uska ladla rota hua aaya

rota hua wo aage se wo uske nikal gaya 

jalte hue tandur me wo bacha gir gaya

bache ki chikh sunte hi sohar bhi aa gaya

manjar ye dekhte hi tadap kar vo reh gaya

bache ko jalte dekh ke chilla ke ro 

peda tandur se jis waqt bache ko nikala

hath uske dono jal gaye chehera jhulas gaya

sajde me maa padi thi or bacha gaya tha mar 

mashhul thi namaaz me usko na thi khabar

usne salam pher ke jab ki udhar najar 

bache ki lash dekhke dil aaya uska bhar

shohar ne dekha biwi ko gusse se ye 

kaha tu hi bata namaz ka ye kya mila sila

bache ki jaan le li hai teri namaz ne 

tujhko saja ye dedi hai teri namaz ne

wo dono hath bandhe musalle pe thi 

khadi shauhar ke tane sunte hi bijli si gir padi

darbar ilahi me jo usne uthaye hath 

boli ki mai to khoyi thi tere karam ke sath

ye kya kiya ke god hi meri ujad di 

parwar digar tune to achhi ye saja di

ankho se uske sabar ke ansu nikal pade 

aasu nikal pade to musalle pe gir gaye

ya rab meri namaz ki tu laz bachale 

sajde me mohamad ke tu ab jalwa dikhade

itne me asmmaa pe andhera sa chha gaya 

bijli kadak uthi or bochal aa gaya

phir jhum ke rehmat ka wo badal 

baras pada shauhar bhi achha ho gaya

bacha bhi ji utha ammi pukarta hua is im pe chal pada 

or jakar maa ki god me bacha machal pada

ma ne gale laga liya or pyar kar liya 

allah ke huzur me sajda ada kiya

biwi ko dekhte hi shauhar bhi ro 

pada biwi se or bache se jakar lipat gaya

bola mujhe khuda ke liye maf kijiye

jo chahe is khata ki saja aap dijiye 

apne kiye pe aaj wo sarminda ho gaya

shaitan se allah ka wo banda ho gaya 

tauba meri kubul kare paak beniyaj

mai bhi padunga aaj se har waqt ki namaj 

do jaft ki ankh bhala usko kya jalayegi

mathe pe kiske likhi ho barkat namaj ki

eye momino suno ye karmat namaj ki

jannat me le ke jayaegi adat namaj ki 

jannat me le ke jayaegi adat namaj ki

eye momino suno ye karmat namaj ki eye momino suno

sajde me jo bhi aa gaya allah ko pyara

jannat me jayega wo mohamad ka dulara

shane husain hai shahadat namaj ki eye momino suno

Explore this song