Roman script

bin manjil ka raahi hun main, bin manjil ka raahi hun main 

apni manjil aap hun, aawara baap hun, aawara baap hun

bin manjil ka raahi hun main apni manjil aap hun

aawara baap hun, aawara baap hun

mujhe khushi ne gale lagakar 

gam ke ghar mein chhoda are re re re 

har raahi ne maar ke patthar shisha ye dil toda 

maine dil ke tukde chunkar phirse dil kyun joda 

dekh ke apne dil ke tukde roya raato raat hun 

aawara baap hun, aawara baap hun

meri haalat dekhke koi meri hasi udaye 

mere dil ke jakhm kurede unpe namak giraye 

aise hamraahi se koi kaise saath nibhaye 

maine uspe kiya bharosa isi liye barbaad hun 

aawara baap hun, aawara baap hun

bin manjil ka raahi hu main apni manjil aap hun 

aawara baap hun, aawara baap hun

Explore this song