Roman script
Haari ankhiyon ka sapna bhi haara haara Sooni ratiyon mein jaise koi toota taara Ummeed ki baati se kyun lau hai roothi roothi Kaise jalaaun phir shamaa Auliya mere rastaa dikha Auliya mere rastaa dikha haaye Girte ko uthna sikhaa haaye Auliya mere rasta dikha Auliya mere rasta dikha Yeah.. Auliya… Woh oh… Tune hatheli ki tedhi laqeeron mein di hain naimate yaa likhi sazaa hai Humne hamesha sar-aakhon pe rakhi hain Jo bhi teri razaa hai Ho.. teri nazar mein suna hai kahin zyada darzaa duaaon se hai koshishon ka Ho.. jo ho rahaa hai woh anjaam hai koshishon ka ya haadsa hai Hai mere saamne aaj do kashtiyaan Din kisi ek ka, na Khuda… Auliya mere rastaa dikha Auliya mere rastaa dikha haaye Girte ko uthna sikhaa haaye Auliya mere rasta dikha Auliya mere rasta dikha hoo.. Auliya.. Oh oo…
Song details
- Singer: Armaan Malik
- Film / album: Ungli
- Composer: Salim-Sulaiman
- Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Song video
cast: Emraan Hashmi, Randeep Hooda, Kangana Ranaut, Sanjay Dutt
language: Hindi
music label: Sony Music India