Roman script

are o re, o re o re, are o re, o re o re

dharti ki tarah har dukh sah le suraj ki tarah tu jalti ja

dharti ki tarah har dukh sah le suraj ki tarah tu jalti ja

sindur ki laaz nibhane ko chup-chap tu aag pe chalti ja

chup-chap aag pe chalti ja

are o re, o re o re

dekhi na khushi tune re koi

dekhi na khushi tune re koi jivan se pyar bhi ruth gaya

jis ghar ko mandir mana tha vo ghar bhi tujhse chhut gaya

are o re, o re o re, dharti ki tarah har dukh sah le

apne yug ki har sita ko

apne yug ki har sita ko sholo pe bithaya jata hai

daaman kitna bhi paawan ho par dosh lagaaya jata hai

are o re, o re o re, dharti ki tarah har dukh sah le

sansar tujhi se chalta hai

sansar tujhi se chalta hai teri kokh se maut bhi hari hai

bhagwan ki tarah mahan hai tu kahne ko abla nari hai

are o re, o re o re

dharti ki tarah har dukh sah le suraj ki tarah tu jalti ja

sindur ki laaz nibhane ko chup-chap tu aag pe chalti ja

chup-chap aag pe chalti ja

are o re, o re o re, are o re, o re o re

Explore this song