Roman script

are sambhal sambhal kar chlana pyare

kahi paw fisal na jaye unchi bahut chadiya hai nale

kahi sans nikal na jaye jara ahista ahista ahista

tak tak dhin dhin dhayaa dekh tamasha mere bhaiya

bich bhawar me dub na jaye kahi

bich bhawar me dub na jaye kahi

bagula bakto ki nayiya tak tak dhin dhin dhayaa

dekh tamasha mere bhaiya

apna pet to khali hai bhai 

unki jebe moti ha ha unki jebe moti

iswar ko sona denge bhukhe ko de na roti

bhukhe ko de na roti sehat se mote akalo ke khote

niyat se chote bepaindi ke lote

inka rasta lut mar se inka dharam rupaya

tak tak dhin dhin dhayaa dekh tamasha mere bhaiya

tak tak dhin dhin dhayaa dekh tamasha mere bhaiya

nirdhan ki kutiya bikwadi are nirdhan ki kutiya bikwadi

or mandir banwaye ha ha or mandir banwaye

paap ke dar se bhag ke bacchu

haili lekar aaye dekho helli lekar  aaye

laddu ya mawa sab hai dikhawa

jitna hai daan bada utna chadawa

kya riswat lene baitha hai

inka poor kanhaiya tak tak dhin dhin dhayaa

dekh tamasha mere bhaiya tak tak dhin dhin dhayaa

dekh tamasha mere bhaiya

nakli daan hai nakli pooja

nakli inki boli ha ha nakli inki boli

are chidiyo ko dana dale

insan ko mare goli insan ko mare goli

dhan bhi hai kala jiwan bhi kala

nile ayyasi me inka diwala inka ek din ka hai kharcha

kitno ki tankhaiyan tak tak dhin dhin dhayaa

dekh tamasha mere bhaiya tak tak dhin dhin dhayaa

dekh tamasha mere bhaiya

Explore this song