Roman script

are chhote aur bade ka ab to

hua purana qissa

are duniya ki jaagir hai sabaka 

ek baraabar hissaa

ek padosi raat ko soye aur dusara roye

to insaaf kahan ka hai

ye insaaf kahan ka hain

ye insaaf kahan ka hain

are kaho agar insaan kisi ki 

raah me kaante boye

to insaaf kahan ka hain

ye insaaf kahan ka hain

ye insaaf kahan ka hain

banaya maalik ne sabke liye hain

chaand sitaaro ko

to phir kyaa haq hai

ha to phir kya haq hai bande ko

kare takasim baharo ko

kare takasim baharo ko

sab ke baag bagiche par

jab ek kaa kabza hoye

to insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

bana hai shah khazane ka

ye hai insaan ki nadani

bataao kitana kha lega

bataao kitana kha lega

ye dana aur hawa paani

ye dana aur hawa paani

are paise jaisi chiz ki khaatir, koi sharafat khoye

to insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

sabhi ek daal ke panchhi hain

sabhi kaa ek thikaanaa hai

lagao ek sath

lagao ek sath nara, ki ye janta ka zamana hai

ye janta kaa zamana hai

koi kisi ka beej chura kar apani kheti boye

to insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

ek padosi raat ko soye aur dusraa roye

to insaaf kahaan kaa hai

ye insaaf kahaan kaa hain

ye insaaf kahaan kaa hain

Explore this song