Roman script

chakravyuh me ghusane se pahale

mai kaun thaa aur kaisaa tha

ye mujhe yaad hi na rahega

chakravyuh me ghusane ke baad

mere aur chakravyuh ke bich

sirf ek jaanlevaa nikatata thi

iska mujhe pata hi na chalega

chakravyuh se bahar nikalne par

mai mukt ho jaaun bhale hi

phir bhi

chakravyuh ki rachana me 

farq hi na padega

marun ya maarun

mara jaaun ya jaan se maar dun

iska faisala kabhi na ho payega

soya hua aadami jab nid se uth kar

chalana shuru kartaa hai

tab sapano kaa sansaar use dubara

dikh hi na payaega

us roshani me jo nirnay ki roshani hai

sab kuchh samaan hoga kyaa

ek palade me napusakataa

ek palade me paurush

ek palade me napusakataa

ek palade me paurush

aur thik taraazu ke kaante par

ardh-satya

Explore this song