Roman script

apun jaise tapori ko kya malum

sala pyaar kis chidiya ka naam hai

lukkha giri karke apna timepass hota hai

bidi paan chay milta hai bus apun khush

yeh pyar ka lafda locha kay ko kay ko are kaye ko re

phir bole to ek din apun ke mohalle main hema aayi

sala apun ka khopdi chakkar kha gaya

truck ke saath bhi sala takkar kha gaya

hey cha ayala kya surat thi vo kya kehte hain

kya kehte hain, haan julfe kya julfe thi

chalti thi ek dum hawa ke mafik

aankhe aisi ki ruka de traffic

apun socha apun ka beda paar ho gaya

bole to baap, sala apun ko bhi pyaar ho gaya

din bhar apun uski khidki ke nichu koi lafda nahi kuch nahi

teen din na azzeb se lada na roshan se panga bus choop chap

pahli baar ladki dekhi

aankhe ruk bhi jaati to, to kya aankh nahi maari

apun ka bhidu bhi sala darr gaya

bola are munna sala tu kaise darr gaya

phir ek din usko dekh ke kallad bola

aye munna bhi vo dekh kya kayamat ja rahi hai baap

apun ka khopdi sarka, kallad ko pakda aur bola

idhar aa shayane tere ko kayamat dikhata hu

sale ko itna dhoya itna dhoya abhi tak thobda wakda hai

aur aaj tak apun ke saath uska chhatis ka aankda hai

samjha, samjha kya, phir hema ka kya hua

phir ik din vo apun ke dekh ke hansi

apun bola baap hansi to phasi

lagta hai vo bhi apun pe phida ho gayi

do din ke baad uski shadi ho gayi

apun ke saamne vo ghar se bida ho gayi

uski doli uthi, apun, apun udhar ich khada tha

lekin vo apun ko nahi dekhi, vo raat apun do baje tak piya

vo raat apun do baje tak piya, saala ek, ek sapna dekha tha

lekin maa kasam main ek aansu nahi roya

kaay ko royega, kaay ko royega, sala apun ich yeda tha na

agle din vahich pehale ke mafik life chaloo

vahich gande glass main chaye vahich paan bidi

azzeb ko itna maara ki log samjhe vo marega

bhulne kay bulne kay par kya karega

sapna toota hai to dil kabhi jalta hai

haa thoda dard hua par chalta  hai

sapna toota hai to dil kabhi jalta hai

haa thoda dard hua par chalta  hai

phir, phir kya hua, phir, phir kya hua

agle din apne mohalle main aishwarya aayi

apna khopdi phir chakkar kha gaya

phir truck ke saath phir chakkar kha gaya

cha ayala kya soorat thi, aakhe aisi ke aise

aye munna bhai tere dil ka traffic phir se ruka kya?

Explore this song