Roman script

apna koi mile to, gale se lagaiye

kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye

apna koi mile to, gale se lagaiye

kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye

apna koi mile to

kadmo se chalke paas to aate hain gair bhi

kadmo se chalke paas to aate hain gair bhi

aap aa rahe hain paas to, kuch dil se aaiye

kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye

apna koi mile to

hum dhadkano ke paas hain, dil ke kareeb hain

hum dhadkano ke paas hain, dil ke kareeb hain

hai shart ye ke dhundh ke humko dikhaiye

kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye

apna koi mile to

maana ke aitbaar ke kaabil nahi koi

maana ke aitbaar ke kaabil nahi koi

ye jaante huye kabhi dhokha khayiye 

kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye

apna koi mile to, gale se lagaiye

kya kya kahenge log, ise bhul jaaiye

apna koi mile to

apna koi mile to

apna koi mile to

Explore this song