Roman script

mujhe yaad aati hain mujhe yaad aati hain 

apane desh ki mitti ki khushbu mujhe yaad aati hain 

apane desh ki mitti ki khushbu mujhe yaad aati hain

kabhi behlaati hain, kabhi tadpaati hain

kabhi behlaati hain, kabhi tadpaati hain 

mujhe yaad aati hai o o o apane desh ki miitti

apane desh ki mitti ki khushbu mujhe yaad aati hain

beete pal chhune lage hain dil ko aise

dost rakhe haath kandhe pe jaise

kaisi yeh kirane aisi chhan rahi hai

kaisi tasbeere si ban rahi hai

kitane mausam yaad mein hai aate jaate

baarish aayi khu gaye hai kaale chhaate

din hai alsaaye huye jo aayi garmi

sardiyon ki dhup mein hai kaisi narmi

pal pal ik samay ki nadiya hai jo behati jaati hai

apane desh ki mitti ki khushbu mujhe yaad aati hain

pighale tanhaayiyon ke jo hai andhere

jagmagaane se lage hai kitane chehare

ek lori hai ek laal bindiya 

laut aayi hai mere bachpan ki nindiya   

o koyi iktaare pe kabse ga raha hai

koyi aanchal jaane kyun lehara raha hai

har ghadi nayi baat ik yaad aa rahi hai

dil mein pagdandi si jaise ban gayi hain

yeh pagdandi mere dil se mere desh jaati hain

apane desh ki mitti ki khushbu mujhe yaad aati hain 

apane desh ki mitti ki khushbu mujhe yaad aati hain -

mujhe yaad aati hain

Explore this song