Roman script

ankhiyo me chhote chhote sapne sajaai ke

bahiyo me nindiya ke pankh lagaai ke

chanda me jhule meree bitiya raanee

chaandanee re jhum ho chaandanee re jhum

yahee toh kalee hai pyaaree meree saaree bagiya me

maine yahee motee paaya jivan nadiya me

mamata lutaau aisee mach jaaye dhum

chaandanee re jhum ho chaandanee re jhum

nindiya ke sang sang raja koyee aayega

bindiya lagaayega re maala pehnaayega

lega phir pyaare pyaare mukhade ko chum

chaandanee re jhum ho chaandanee re jhum

Explore this song