Roman script

aankhon se tu ne kya kaha hai,

mann zara bhi apne vash mein na raha

ye pyaar hai ya,aur kuch hai,

jo bhi hai ye chhod dein chal ankaha!

jab maun tera gaane laga toh

roke ruke na,nadi sa ye mann baha

ye pyaar hai ya,aur kuchh hai,

jo bhi hai ye chhod dein chal ankaha

palkon tale tuu ,kaajal ke jaisa,

tere bin ye, nain-deepak, hain bujhe

tu chandrama haimain ik lehar hoon

kheenchta hai, betahasha, tu mujhe

tu kalpana mein,na samaaye,

kar chuka hoon, sau jatan main, baarhaa

ye pyaar hai ya,aur kuchh hai,

jo bhi hai ye chhod dein chal ankaha

jab maun tera gaane laga toh

roke ruka na,nadi sa ye mann bahaa

Explore this song