Roman script

jane kaise tute rishto se bikhre hai ye pal 
mano jaise gam ki palko se chhalke hai ye pal 
kyun adhuri ye kahani kyun adhura ye fasana 
kyun lakiro me iske alvida 
umr bhar ka sath de jo kyun wahi pyar ho 
kyun naa mitke jo fanna ho wo bhi pyar ho 
naa adhuri ye kahani naa adhura ye fasana 
marke bhi naa ham kahenge alvida 
bairiya mere rabba kyun huwa baire rabba 
yu naa dhaavi yu naa dhaavi do dilo di ye kahani 
mit bhi jaau naa mite ye kaisi pyas hai 
duriyo me khoke bhi tu mere paas hai 
kyun ki tu meri kahani kyun ki tu mera fasana 
ab kabhi phir naa ye kehna alvida 
tere yaado ko sehlata hu pal me banke bikharata hu 
jis shaha me kho gayi ho tum
kya nahi hai waha tuti tanhaiyo ka gam 
bairiya mere rabba kyun huwa baire rabba 
yu naa dhaavi yu naa dhaavi do dilo di ye kahani 
jane kaise tute rishto se bikhre hai ye pal na kehna 
mano jaise gam ki palko se chhalke hai ye pal alvida 
kyun adhuri ye kahani alvida

Song details

singer: Nikhil D Souza, Shruti Haasan

actor: Arjun Rampal, Shruti Haasan