Roman script

bhala tufan kya takrayega mere safine se

qurane paak ki barkat hai lipti mere sine se

allah tu dikha de karishma quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

bando ke vaaste hai sahara quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

sunle tujhe batata hu taqat quran ki

tu jaanta nahi hai haqiqat quran ki

multan me rahti thi ek allah ki pyari

aur uske sath rahti thi ek nanhi nawasi

har roj wo karti thi tilawat quran ki

wo hafize quran thi nani ki jaan thi

bakhsha khuda ne tha use tohfa quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

maa baap ki daulat use virase me mili thi

the uske chaccha teen niyat unki buri thi

ek raat uske ghar me wo chupke se aa gaye

aur uska munh dabake wo jungle me le gaye

bacchi ko jalimo ne jami par patak diya

bole tere maa baap ko humne katal kiya

ab teri kabr khod ke tujhko sulayenge

aur teri jaaydaad pe kabza jamayenge

bacchi ne ye suna to wo kahne lagi chaccha

main hafize quran hu imaan hai mera

aayi hai meri maut to maalik ki hai raza

warna na kar sakoge mera baal bhi baka

shaitan ho tum log ab bigadoge kya mera

tum maarne walo se bada hai mera khuda

bachhi ki bata sunke chaccha teeno hans diye

talvaar leke maarne uski taraf badhe

padhne lagi quran ki aayat wo baar baar

karne lagi allah ki rahmat ka intzaar

jaise hi waar karne ko talvaar uthayi

waise hi ek sher ne ki unpe chadhai

teeno ko chir faad diya khatam kar diya

wo sher ki shkal me farishta khuda ka tha

wo kya mitega jispe ho saya quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

hum pe bhi raham kar de karam apna dikha de

shaitan ki sazish ko tu nakam bana de

zalim ne diya hai mujhe tana quran ka

allah tu dikha de karishma quran ka

karishma quran ka

karishma quran ka

Explore this song