Roman script

allah ki rahmat ne bando ko pukara hain

wo farz ada kar do

jo farz tumhara hain

humara kaarwa hain sidhi sacchi raah walo ka

chalo allah rakhwala hain hum allah walo ka

zindagi kya hain ek safar hain

humari har saans hain ibaadat

humari manjil khuda ka ghar hain

ye zindagi kya hain

ye zindagi kya hain ek safar hain

humari har saans hain ibaadat

humari manjil khuda ka ghar hain

ye zindagi kya hain

utho humare naseeb jaage

jhuka do sar ko khuda ke aage

wo sab ke dukh dard janta hain

har ek dil ki use khabar hain

ye zindagi kya hain

humara rasta na roke duniya

nahi hain dil me koi tamanana

hasi khushi ghar se chal pade hain

jawa iraade jawa najar hain

ye zindagi kya hain

na koi chote bade ka jhagda

na koi ache bure ka charcha

khuda ka dar hi ek aisa dar hain

zamane bhar ka jaha gujar hain

ye zindagi kya hain

watan ko karke salam aakhir

chale hain aaj watan se bahar

khuda hain hazfiz

khuda hain hazfiz milenge phir zindagi agar hain

ye zindagi kya hain

Explore this song