Roman script

ishq bala hai woh, ishq khata hai wo

jisne bhi hai ye kiya dono jahan se gaya

usko allah bachaaye, maula bachaaye

allah bachaaye, ishq se allah bachaaye

jisne kiya yeh gunaah uska yeh haal hua

dard sa dil me hamesha, rehta wo har pal pareshan

ishq junoon hai jisme sukun hai

jisko chadha yeh nasha samjho ke wo to fasa

phir to allah bachaye allah, maula bachaye maula

allah bachaye allah, ishq se allah bachaye

bechainiyo me hai chain, aahe bhare din rain

madhoshiyo ka ho aalam, maar hi daale yeh zaalim

isme maza bhi hai par yeh saza bhi hai

waqt hai bachke raho, ishq se tauba karo

warna allah bachaye allah, maula bachaye maula

allah bachaye allah, ishq se allah bachaye

tum sabko allah bachaaye allah

tumko bhi allah bachaaye

duniya ko allah bachaaye allah bachaaye

Explore this song