Roman script

albela mastana ek hanso ka joda albela mastana 

neele aakash me dur dur tak udta pankh pasar udta pankh pasar

neele aakash me dur dur tak udta pankh pasar udta pankh pasar

albela mastana ek hanso ka joda albela mastana

madhur kilole karta firta madhur kilole karta firta

masti bhari hawao me masti bhari hawao me

ghum ghum ghum sum sum sum

jhum jhum mukh chum chum kar udta

udta daso dishao me udta daso dishao me

taro se kuch kuch kahta prem nashe me duba rahta

taro se kuch kuch kahta prem nashe me duba rahta

chand se choch milata jakar

megh se karta pyar megh se karta pyar

albela mastana ik hanso ka joda albela mastana

dharti par jo kabhi utarta bacho ka dam har dam bharta

dharti par jo kabhi utarta bacho ka dam har dam bharta

unki khatir jan ladata khoj khoj kar moti lata

unki khatir jan ladata khoj khoj kar moti lata

rang umang bhari dunia me rang umang bhari dunia me

karta mauj bahar karta mauj bahar

albela mastana ik hanso ka joda albela mastana

Explore this song