Roman script

akad kar ja rahe hai jaiye pachtaiyega 

hamare jaisa dilwala kahi na payiyega

hamare jaisa dilwala kahi na payiyega

hasino se jara bachiye na yu takraiyega

bahut hoshiyar baniyega to dhokha khaiyega

bahut hoshiyar baniyega to dhokha khaiyega

mohabbat ka safar ye bada lamba safar hai

hamare sath chaliye bhtak jane ka dar hai

na kijiye fikar meri mujhe apni khabar hai

musafir janta hai use jana kidhar hai

sambhal kar paw rakhiye warna thokar khaiyega

hamare jaisa dilwala kahi na payiyega

hamare jaisa dilwala kahi na payiyega

salamat hai adaye to diwane bahut hai

jalegi shama jab tak to parwane bahut hai

samjh ka fer hai ye tumhari kya khata hai

bigadna ruthna to hasino ki ada hai

inhi bato pe ab to apna dil bahlayiega

bahut hoshiyar baniyega to dhokha khaiyega

bahut hoshiyar baniyega to dhokha khaiyega

hato chhodo ye jhagde chalo ji tumse hare

jara ek bar fir se wahi pahle ishare

na karna aur jhuthi mohabbat se gujara

bada katil hai meri nigaho ka ishara

na honge hum to kisko ye ada dikhlayiega

hamare jaisa dilwala kahi na payiyega

hamare jaisa dilwala kahi na payiyega

hasino se jara bachiye na yu takraiyega

bahut hoshiyar baniyega to dhokha khaiyega

bahut hoshiyar baniyega to dhokha khaiyega

Explore this song