Roman script

ajab hai ye duniya ajab zindagi hai 
kahi hai andhera kahi roshani hai
abhi jal raha hai chirage mohabbat 
abhi hasrato ki chita jal rahi hai
ajab hai ye duniya ajab zindagi hai 
kahi hai andhera kahi roshani hai
na dekhe jaha me koi khawab kal ka 
yaha to bharosa nahi ek pal ka
na dekhe jaha me koi khawab kal ka 
yaha to bharosa nahi ek pal ka
yaha har nazara ghadi do ghadi hai 
kahi hai andhera kahi roshani hai
abhi jal raha hai chirage mohabbat 
abhi hasrato ki chita jal rahi hai
koi karwa se zuda ho gaya hai koi 
rah ki graj me kho gaya hai
na jane kaha se ye aandhi chali hai 
kahi hai andhera kahi roshani hai
abhi jal raha hai chirage mohabbat 
abhi hasrato ki chita jal rahi hai
harek humsafar hai kadam do 
kadam ka nahi hai yaha koi sathi janam ka
harek humsafar hai kadam do 
kadam ka nahi hai yaha koi sathi janam ka
yaha har kadam ek manjil nayi hai 
kahi hai andhera kahi roshani hai
ajab hai ye duniya ajab zindagi hai 
kahi hai andhera kahi roshani hai
abhi jal raha hai chirage mohabbat 
abhi hasrato ki chita jal rahi hai

Song details

Song video

Watch on YouTube