Roman script

hiranyagarba samavartat aagre

bhutasya jaatah patireka aasit

sa dadhara prithividyaam utemaam

kasmai devaya havisha vidhem

wah tha hiranyagarbh srishti se pahle vidyamaan

wahi to sare bhutjaat ka swami mahan

jo hai astitvmaan dharti aasmaan dharan kar

aise kis devta ki upasna kare hum havi dekar

jis ke bal par tejomay hai ambar

prithvi hari bhari sthapit sthir

swarg aur suraj bhi sthir

aise kis devta ki upasna kare hum havi dekar

garbh me apne agni dharan kar paida kar

vyapa tha jal idhar udhar niche upar

jagaa chuke wo kai ekmev pran bankar

aise kis devta ki upasna kare hum havi dekar

om srishti nirmata swarg rachayita purvaj, raksha kar

satya dharm palak atul jal niyamak, raksha kar

phaili hai dishaye baahu jaisi uski, sab me, sab par

aise hi devta ki upasna kare hum havi dekar

aise hi devta ki upasna kare hum havi dekar

Explore this song