Roman script

agar main kahu mujhe tumse mohabbat hai

meri bas yehi chahat hai toh kya kahogi

agar main kahu mujhe tumse mohabbat hai

meri bas yehi chahat hai toh kya kahogi 

main tumse kahugi is baat ko agar tum 

zara aur saja ke kehte

zara ghuma-phira ke kehte toh achcha hota  

agar main kahu 

tumko jab dekhu lagti ho jaise nayi

honth hai pankhudi phul ki

aankhe jaise jugnu chamke huwe

soche mera ye dil dhadkte huwe

agar main kahu

agar main kahu ye jo chehra hai 

jaise koyi chand hai toh kya kahogi  

main tumse kahugi

mujhko bhule se bhi chand tum na kaho

chand me toh kai daag hai

mujhe phul na kehna woh murjhate hai

jugnu bhi na kehna woh kho jaate hai

ye baate puraani hai jo mujhko sunani hai

kissi aur adaa se kehte 

zara ghuma-phira ke kehte toh achcha hota  

agar main kahu mujhe tumse mohabbat hai

meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi  

agar main kahu

baate sunke tumhari main hairaan hu

jo bhi kehna hai kaise kahu

lagta tumhe kuchh bhi achcha nahi

sach ko bhi kehti ho sachcha nahi

agar main kahu

agar main kahu tumhe pata nahi hai kyu

hai pyaar mujhe bhi tumse toh kya kahoge

main tumse kahuga mere dil ka hai ye kehna

ham ko hai saath me rehna  

ye dono ke dil me hai na toh phir kyu kehna

agar main kahu, toh main tumse kahugi

lyrics typed by: neha gupta

Explore this song