Roman script

jale chita ki in lapto me 

jab kisi maa ka suhaag 

puchho naa bete ke man me 

lag jaaye kaisi aag 

ae maa mujhko saugandh teri 

ae maa mujhko saugandh teri 

har julm ka naam mita dunga 

jaalim ke lahu se ek din mai 

phir teri maang saja dunga 

ae maa, ae maa 

kyu huaa paraaya ghar aangan 

kyu ujad gaya khushiyo ka chaman 

pardesh bani kyu ye galiya 

jin galiyo me khela bachpan 

in galiyo me phir khushiyo ki mai 

kaliya wahi bichha dunga 

ae maa, ae maa mujhko saugandh teri 

kyu milkar itani dur huye 

maa ki aankho ke do taare 

kyu milane se hi majbur huye 

ek nadiya ke hi do dhaare 

mat ro maa teri khoyi khushi 

tujhko waapas lauta dunga 

ae maa, ae maa mujhko saugandh teri

Explore this song