Roman script

aye lo mai ban gaya thanedar 

bhaiya ab dar kahe ka

rishvatkhori ab na chalegi 

choro ki chori ab na chalegi

are jora jori ab na chalegi

ab apni hai sarakar bhaiya ab dar kahe ka

ab na kisi se tum ghabrao 

thane me aao rapat likhao

kisi ki ijjat ab na lutegi 

kisi ki mehanat ab na lutegi

mai sabka pehredar bhaiya ab dar kahe ka

tum mere ho mai tum sabka 

ye rishta hai jane kab ka

in galiyan me ham sathi hai

is jivan ke ham sathi hai

na tute kabhi ye pyar bhaiya ab dar kahe ka

band yu apni mutthi kar di 

maine sabki chhutti kar di

daru ka adda ab na chalega 

are shahar me satta ab na chalega

lambu ki lambi mar ho bhaiya ab dar kahe ka

Explore this song