Roman script

ai jindagi ye lamha jee lene de
oh pehle se likha kuchh bhee nahi
roj naya kuchh likhati hai tu
jo bhee likha hai dil se jiya hai
ye lamha filhal jee lene de 
ye lamha filhal jee lene de
masum see hasee bevajah hee kabhi 
honto pe khil jatee hai
anjan see khushee behati huyee kabhi 
sahil pe mil jatee hai
ye anjana sa darr ajnabi hai magar 
khubsurat hai jee lene de
ye lamha filhal jee lene de 
ye lamha filhal jee lene de
dil hi me rehta hai aankho me baheta hai
kachcha sa ek khwab hai
lagta sawal hai shayad jawab hai 
dil phir bhee betab hai
ye sukun hai toh hai ye junun hai to hai
khubsurat hai jee lene de
ye lamha filhal jee lene de
oh pehle se likha kuchh bhi nahi
roj naya kuchh oh likhati hai tu
jo bhee likha hai dil se jiya hai
ye lamha filhal jee lene de

Song details

Song video

Watch on YouTube