Roman script

ae jane jigar ghut ghut ke agar

rate ho basar kya hoga jara socho

vo pi le agar duniya ki najar

uth jaye idhar kya hoga jara socho

ae jane jigar o ho

jab phul sa mukhada samne ho

to pyar bhi karna padta hai

phulo ki tamna me lekin

kanto pe gujarna padhta hai

kanto se agar banwra bankar

ud jaye agar kya hoga jara socho

aise me agar duniya ki najar 

uth jaye idhar kya hoga jara socho

jhuk jhuk ke najar kyu uthti hai

sine me dhadhkata hai kyu dil

do dil ki dagar jab milti hai 

aati hai mohabbat ki manjil

do dil ki dagar aage chalkar bant jaye

agar kya hoga jara socho

ae jane jigar ghut ghut ke agar

raate ho basar kya hoga jara socho

sunte hai jahan me logo ko

do dil ka milan manjur nahi

milne ka koi vada kar lo

logo ki najar se dur kahi

Explore this song