Roman script

ai dil hame itna bata 

marte hain ham jinke liye kaise chale unko pata

ai dil hame itna bata

dil hi agar ek dard ho to kya kare dil ki dava

marte hain ham jinke liye kaise chale unko pata

ai dil hame 

jinhe hamne nindo me khwaabo me paala

vo aankho ki thandak, vo dil ka ujala

hain betaab ham bhi ye vo maanate hain

magar voh ishaaro ko kam jaanate hain

zamaane ki nazaro se hamne bacha ke

unhe dhadkano me rakha hai chhupa ke

vo chehra koi aaina bhi na dekhe

koi aur to kya khuda bhi na dekhe

khuda bhi na dekhe, khuda bhi na dekhe

maangi hai ye dil ne dua

marte hain ham jinke liye kaise chale unko pata

dil hi agar ek dard ho to kya kare dil ki dava

ai dil hame 

ye dil jinki chaahat me paagal bana hai

unhe kya khabar hai hame kya hua hai

unhe kya pata kya hai haalat hamari

tadpati hai kaise mohabbat hamari

ye dil keh raha hai dhadkate dhadkate

vo aayenge ek din tadpate tadpate

hamare hain vo unko paa ke rahenge

agar mil na paaye to ham chhin lenge

to ham chhin lenge, ham chhin lenge

ham kuchh nahi unke bina

marte hain ham jinke liye kaise chale unko pata

dil hi agar ek dard ho to kya kare dil ki dava

ai dil hame

Explore this song