Roman script

abhi ajnabi the abhi to mile hai

abhi aapke hum karib aa gaye hai

nayi hasrato pe bichhi zindagi hai

banke wo mere nasib aa gaye hai

tumhe khud ko saupa riha ho gayi hu

ibadat ke aage fana ho gayi hu

tere sang hum dam kadam jo badhe hai

aisa laga ke falak pe khade hai

meri khwahishe ab nikharne lagi hai

banke meharba habib aa gaye hai

abhi ajnabi the abhi to mile hai

abhi aapke hum karib aa gaye hai

khwabo ke par ko hawa me pasare

udne lage hai, armaan humare

jaha dekhti hu wahi roshani hai

nayi zindagi hai, jannat nashi hai

meri zindagi ab sawarne lagi hai

manzil ke yu hum karib aa gaye hai

abhi ajnabi the abhi to mile hai

abhi aapke hum karib aa gaye hai

Explore this song