Roman script

ab ye mohabbat nasha banke 
dil par chhane lagi 
kya kare chhane lagi kya kare
tu har ghadi har jagah 
yaad mujhko aane lagi 
kya kare chhane lagi kya kare
bezaan tha pahle jeevan 
berang the sab nazaare
jis din se dekha hai tujhko 
dil me khile chaand taare
dil me khile chaand taare
is dil ki dhadkan 
tere hi nagme gaane lagi 
kya kare gaane lagi kya kare 
lagti hai yun hi dilo me 
khud se lagaye naa koi 
ye pyaar ki aag hai jo 
isko bujhaye naa koi 
isko bujhaye naa koi 
tera naam le ke pal pal 
meri jaan jaane lagi 
kya kare jaane lagi kya kare  
ab ye mohabbat nasha banke 
dil par chhane lagi 
kya kare chhane lagi kya kare

Song details

Song video

Watch on YouTube