Roman script

jab dukh ki nadiya me hamne 

jivan ki naav dali thi 

haa kitna kasbar baaho me

lahu me kitni lali thi

yu lagta tha do hath lage

aur naav puram paar lagi

aisa na hua har dhare me

kuch andekhi majhdhare thi

kuch maajhi the anjaan bahut 

kuch beparkhi patware thi 

ab jo bhi chaho chhan karo 

ab jo bhi chaho chhan karo 

ab jitna chaho dosh dharo

nadiya bhi wahi hai naav wahi

nadiya bhi wahi hai naav wahi

ab tum bhi kaho kya karna hai

ab kaise paar utarna hai

jab apni chhati me hamne

is desh ke ghav dekhe the

tha wedo par vishwas bahut 

aur yaad bahut se nuskhe the

o yu lagta hai bas kuch dil me

saari vipda kat jayengi

aur sab ghav bhar jayenge

aisa naa hua ki rog apne

kuch itne bher purane the

vaido ki toh ko pa naa sake

aur tut ke sab bekar gaye

ab jo bhi chaho chhan karo

ab jo bhi chaho chhan karo

ab jitna chaho dosh dharo

chhati to wahi hai ghav wahi 

chhati to wahi hai ghav wahi 

ab tum hi kaho kya karna hai 

ye ghav kaise bharna hai 

ye ghav kaise bharna hai

Explore this song