Roman script

ab suni bhayi re atariya hamaar

kaise jiyara ko aawe qaraar

kaise jiyara ko aawe qaraar

ab aahen bhare

man paachhe hate

hai kaisa ye neha se haar

kaisa jiyara ko aawe qaraar

ab suni bhayi re atariya hamaar

kaise jiyara ko aawe qaraar

taanon ki maar sahi

boliyon ki maar sahi

aaj khaayi maine birha ki maar

taanon ki maar sahi

boliyon ki maar sahi

aaj khaayi maine birha ki maar

pyaar ko bhi jeeta sansaar ko bhi jeeta 

maani maine manwa se haar

kaise jiyara ko aaye qaraar

ab suni bhayi re atariya hamaar

kaise jiyara ko aawe qaraar

maujen bhi ganga ki

jholi mein soyen hain

maujen bhi ganga ki

jholi mein soyen hain

lehre bhi sar patak ke roye hai 

garwa se tut gaye tut ke

haay more garwa ke haar

kaise jiyara ko aawe qaraar

ab suni bhayi re atariya hamaar

kaise jiyara ko aawe qaraar

kaise jiyara ko aawe qaraar

Explore this song