Roman script

ab ranj se khushi se bahar o khiza se kya

ab ranj se khushi se bahar o khiza se kya

mahav e khayal yaar hain hamko jahan se kya

mahav e khayal yaar hain

unka khyal unki talab unki aarju

unka khyal unki talab unki aarju

jis dil me woh ho mange kisi meharban se kya

mahav e khyal yaar hain

hamne chirag rakh diya tufan ke samne

hamne chirag rakh diya tufan ke samne

pichhe hatega ishk kisi imtehan se kya

mahav e khyal yaar hain

koyi chale chale na chale ham to chal pade

koyi chale chale na chale ham to chal pade

manjil ki jisko dhun ho use karvan se kya

manjil ki jisko dhun ho

ye bat sochne ki hai wo hoke meharban

yeh baat sochne ki hain wo hoke meharban

puchhenge hal e dil to kahenge juba se kya

mahav e khyal yaar hain

Explore this song